Masooda Hayat

fasl-e-gul kuchh bhi nahin baad-e-saba kuchh bhi nahin

Masooda Hayat

fasl-e-gul kuchh bhī nahīñ bād-e-sabā kuchh bhī nahīñ
terī mahfil ho to jannat kī fazā kuchh bhī nahīñ
jān-o-dil kar diye ham ne tirī rāhoñ meñ nisār
aur hamāre liye tohmat ke sivā kuchh bhī nahīñ
pakḌe jā.eñge hamīñ hashr meñ be-jurm-o-qusūr
aur gunāhgār ko duniyā meñ sazā kuchh bhī nahīñ
un ke dil par mirā ehsās-e-sitam bhī hai garāñ
ġhair kī sho.ala-bayānī kā gilā kuchh bhī nahīñ
jām-e-jam ho kahīñ gardish meñ magar phir bhī 'hayāt'
chashm-e-sāqī se na chhilke to mazā kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com