terī yādoñ ne kabhī chain se jiine na diyā
maiñ ne chāhā to mujhe zahr bhī piine na diyā
yuuñ hī ban ban ke bigaḌte rahe ā.īn-e-vafā
be-sahāroñ ko sahārā to kisī ne na diyā
ġham to ġham josh-e-masarrat ne baḌhāyā vo junūñ
chāk-e-dāmāñ kisī unvān bhī siine na diyā
zindagī ġham se sañvartī hai ye maanā lekin
manzil-e-ġham meñ sahārā to kisī ne na diyā
aaj kyuuñ aa ga.e tum dard kā darmāñ ban kar
jām-e-furqat bhī mujhe chain se piine na diyā
tere milne kī ḳhushī tere bichhaḌne kā malāl
ġhamza-e-shām-o-sahar ne hameñ jiine na diyā
kis se shikva kareñ vīrānī-e-hastī kā 'hayāt'
ham ne ḳhud apnī tamannāoñ ko jiine na diyā