Masooda Hayat

koi to dil ki nigahon se dekhta jae

Masooda Hayat

koī to dil kī nigāhoñ se dekhtā jaa.e
hamārī ruuh ke kuchh ġham sameTtā jaa.e
tumhāre milne kī har aas aaj TuuT ga.ī
tumhīñ batāo ki ab kis tarah jiyā jaa.e
zarā to sochiye us dil kā haal kyā hogā
talāsh-e-gul meñ jo patthar kī choT khā jaa.e
sajā ke tum ko guloñ se uThā.e haiñ patthar
zamāna kitnā sitamgar hai kyā kiyā jaa.e
kareñge kaise haqīqat kā sāmnā ham log
hameñ to ḳhvāb hī koī dikhā diyā jaa.e
kisī tarah to andhere ġhamoñ ke chhaT jaa.eñ
mirā bujhā huā dil hī koī jalā jaa.e
rah-e-hayāt meñ kāñTe bichheñ ki phuul khileñ
ye shart hai tirī jānib vo rāsta jaa.e
Top Urdushayar.com