ye jo rañgīn tabassum kī adā hai mujh meñ
mujh ko lagtā hai koī mere sivā hai mujh meñ
ḳhud bhī hairāñ huuñ azal se ki ye kyā hai mujh meñ
kaun shah-rag se mirī bol rahā hai mujh meñ
umar bhar jis ko tire ġham kī amānat samjhā
ab vahī tār-e-nafas TuuT gayā hai mujh meñ
ek ḳhushbū sī ubhartī hai nafas se mere
ho na ho aaj koī aan basā hai mujh meñ
mere qadmoñ pe zamāne kī jabīñ jhuk jaa.e
devtāoñ kī tarah ek anā hai mujh meñ
tum to kun kah ke nigāhoñ se chhupe ho lekin
har ghaḌī ek nayā hashr bapā hai mujh meñ
kaun thā jo mire ehsās ko raushan kartā
umr bhar sirf mirā dil hī jalā hai mujh meñ
dil kabhī zulmat-e-fardā se hirāsāñ na huā
ek ḳhurshīd nayā roz ugā hai mujh meñ
talḳh-kāmī se to kuchh aur nikhartī hai 'hayāt'
kis liye zahr koī ghol rahā hai mujh meñ