Masooda Hayat

ghar se jo shaKHs bhi nikle wo sambhal kar nikle

Masooda Hayat

ghar se jo shaḳhs bhī nikle vo sambhal kar nikle
jaane kis moḌ pe kis haath meñ ḳhanjar nikle
mo.ajaza ban ga.ī kyā aaj mirī tishna-labī
ek qatre ke tale kitne samundar nikle
gir gayā ho jo fasīloñ ko uThā kar ḳhud hī
kaise ab apne hisāroñ se vo bāhar nikle
rahbaro tum ne to manzil kā patā bhī na diyā
tum se behtar to mirī raah ke patthar nikle
umr bhar zehn meñ chubhtā rahā ik nashtar-e-ġham
jitne ehsās the sab merā muqaddar nikle
tum se chhoḌī na ga.ī rāh-e-vafā phir bhī 'hayāt'
kitne be-dard mile kitne sitamgar nikle
Top Urdushayar.com