Masooda Hayat

Khaali sharab-e-ishq se saghar kabhi na the

Masooda Hayat

ḳhālī sharāb-e-ishq se sāġhar kabhī na the
aise to ḳhushk dal ke samundar kabhī na the
jo sañg-e-ehtisāb yagānoñ ke paas haiñ
dushman ke haath meñ bhī vo patthar kabhī na the
kis samt jā rahe haiñ unheñ ḳhud patā nahīñ
yuuñ be-ḳhabar to raah se rahbar kabhī na the
dil TukḌe TukḌe ho gayā zaḳhmī hai ruuh bhī
itne to tez vaqt ke nashtar kabhī na the
miltā nahīñ kahīñ bhī dar-o-bām kā nishāñ
ham ghar meñ rah ke itne to be-ghar kabhī na the
kyā jāneñ kyā huiiñ vo hasīñ shoḳhiyāñ 'hayāt'
aise niDhāl phuul se paikar kabhī na the
Top Urdushayar.com