Masooda Hayat

dil o nigah mein ek raushni si lagti hai

Masooda Hayat

dil o nigāh meñ ik raushnī sī lagtī hai
tumhārī yaad se vābastagī sī lagtī hai
ye kyā sitam hai mahaktī huī bahāroñ meñ
har ek chehre pe pazhmurdagī sī lagtī hai
ye kis ke haath meñ aayā hai daur-e-paimāna
laboñ pe apne baḌī tishnagī sī lagtī hai
ham apne ghar meñ bhī haiñ ab musāfiroñ kī tarah
har ek chiiz yahāñ ajnabī sī lagtī hai
har ek saañs pe pahra hai nā-ḳhudāoñ kā
ye zindagī bhī koī zindagī sī lagtī hai
hazār shauq numāyāñ the jis nazar se kabhī
vahī nigāh baḌī ajnabī sī lagtī hai
'hayāt' kaun sī ab raah iḳhtiyār kareñ
har ek raah baḌī ajnabī sī lagtī hai
Top Urdushayar.com