kyā kaheñ mahfil se terī kyā uThā kar le ga.e
ham matā-e-dard ko tanhā uThā kar le ga.e
dhuup kā sahrā nazar aatā hai ab chāroñ taraf
aap to har peḌ kā saayā uThā kar le ga.e
ab vahī zarre hamāre haal par haiñ ḳhanda-zan
āsmāñ tak jin ko ham ūñchā uThā kar le ga.e
kyā ġharaz ham ko vahāñ ab koī bhī ābād ho
ham to us bastī se ghar apnā uThā kar le ga.e
vo to majnūñ thā rahā jo umr bhar sahrā-navard
ham jahāñ pahuñche vahīñ sahrā uThā kar le ga.e
kar na paa.e rāhbar bhī rahnumā.ī jab 'hayāt'
ham bhī hairānī meñ naqsh-e-pā uThā kar le ga.e