Syed Bashir Husain Bashir

tamasha-gah-e-alam parda-dar ru-e-zeba hai

Syed Bashir Husain Bashir

tamāshā-gāh-e-ālam parda-dār rū-e-zebā hai
mirī nazroñ meñ lekin ḳhud ye parda husn-e-yaktā hai
matā-e-zauq-e-sajda se abhī taskīñ nahīñ hotī
ḳhudā jaane junūn-e-roz-afzūñ kī davā kyā hai
tire qadmoñ kī nisbat ko jabīn-e-ḳhalq kyā samjhe
koī pūchhe mire dil se ki sañg-e-dar tirā kyā hai
Top Urdushayar.com