Syed Bashir Husain Bashir

dil dukha tha mera aisa ki dikhaya na gaya

Syed Bashir Husain Bashir

dil dukhā thā mirā aisā ki dikhāyā na gayā
dard itnā thā ki ḳhud un se baḌhāyā na gayā
be-ḳhud-e-ishq se phir hosh meñ aayā na gayā
sar jo sajde meñ jhukāyā to uThāyā na gayā
raaz us parda-nashīñ kā kabhī paayā na gayā
mahram-e-rāz se bhī raaz batāyā na gayā
āfrīñ lazzat-e-nazzāra ḳhushā ālim-e-kaif
dil kā aanā thā ki phir hosh meñ aayā na gayā
lab pe apne na kabhī harf-e-tamannā aayā
raaz dil kā magar āñkhoñ se chhupāyā na gayā
ishq se dil ne kisī tarah na fursat paa.ī
ye vo shola hai ki dahkā to bujhāyā na gayā
jalva yuuñ aam kiyā us ne ki sab ne dekhā
parda yuuñ us ne girāyā ki uThāyā na gayā
Top Urdushayar.com