kabhī to rañg-e-husn-e-yār dekhūñ
kahāñ tak dīda-e-ḳhūñ-bār dekhūñ
vahī dekhūñ jise dekhā na jaa.e
ye manzar aur kitnī baar dekhūñ
palak jhapkūñ to phir in pattharoñ meñ
kahāñ aise mohabbat-zār dekhūñ
kisī kā zaḳhm-e-dil dekhā na jaa.e
jigar ho to koī shahkār dekhūñ
kamāneñ TūTtī dekhī haiñ maiñ ne
ginūñ bāheñ ki lipTe haar dekhūñ
kisī ko is tarah dekhūñ to ro.uuñ
maiñ kaise apnā hāl-e-zār dekhūñ
diloñ ke sab ghaḌe kachche haiñ 'kausar'
maiñ kis kī raah dariyā paar dekhūñ