jo jo shu.ūr-e-zehn pe aatā chalā gayā
dil kulfatoñ ke daaġh miTātā chalā gayā
lā kar bahār-e-nau ke gul-e-nudrat-e-ḳhayal
sahrā ko maiñ chaman sā banātā chalā gayā
allāh kā ye fazl hai mujh pe ki bahr-e-ilm
kuuze se mere dil meñ samātā chalā gayā
alfāz ke guhar se ġhazal kī zamīñ ko maiñ
jaise falak-nazhād bantā chalā gayā
tār-e-nafas pe chheḌ ke ik naġhma-e-hayāt
maiñ āgahī ke saaz pe gaatā chalā gayā
ulfat kī raah kar ke zamāne pe āshkār
'ahsan' maiñ ḳhār-e-rāh haTātā chalā gayā