kuchh to dekheñ asar charāġh chale
bujh hī jaa.e magar charāġh jale
muskurā kar ye kis ne dekh liyā
rahguzar rahguzar charāġh jale
utnī hī aur tīrgī phailī
shahr meñ jis qadar charāġh jale
kaun jaane ki kin amīroñ par
shaam se tā-sahar charāġh jale
qābil-e-dīd hai ye aalam bhī
is taraf dil udhar charāġh jale
saarī bastī dhueñ meñ Duub ga.ī
shahr meñ is qadar charāġh jale
'shauq' āñdhī hai aaj zoroñ par
aaj har gaam par charāġh jale