Shauq Mahri

baqi na rahe hosh junun aisa hua tez

Shauq Mahri

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1920-1998
baaqī na rahe hosh junūñ aisā huā tez
utnā hī bhaTaktā rahā maiñ jitnā chalā tez
din Dhalne lagā baḌhne lage shaam ke saa.e
ai sust qadam ab to qadam apne uThā tez
kyā jāniye zālim ne kise qatl kiyā hai
kyuuñ hāthoñ meñ aaj us ke huā rañg-e-hinā tez
ab manzil-e-maqsūd bahut duur nahīñ hai
ai ham-safaro aur zarā aur zarā tez
dekho to sahī kis ke ishāre pe chalī hai
aa.ī hai kidhar se ye fasādoñ kī havā tez
allāh re ye mere safīne kā muqaddar
do haath hī sāhil thā ki tūfān chaḌhā tez
ai 'shauq' mire haal pe ye ḳhuub karam hai
jab sham.a jalātā huuñ to hotī hai havā tez
Top Urdushayar.com