nam āñkhoñ meñ kyā kar legā ġhussa dekheñge
os ke uupar chiñgārī kā lahja dekheñge
shīshe ke bāzār se le ā.eñge kuchh chehre
vahī pahan kar ham ghar kā bhī shīsha dekheñge
kitnī duur talak jā.egī zabt kī ye kashtī
kitnā gahrā hai is dard kā dariyā dekheñge
dariyā ke pīchhe pīchhe ham sahrā tak aa.e
kis manzil ko le jaa.e ab sahrā dekheñge
rūThne vaalī ḳhat paḌh kar fauran hī lauT aa.iiñ
ham ne likhā thā sale lagī hai kapḌā dekheñge
kuchh din meñ dil kā kho jaanā bilkul mumkin hai
kahtā hai ham baḌe hue ab duniyā dekheñge