dar pe tere jo sar jhukā lūñgā
is jahāñ meñ sukūn pā lūñgā
chāhe kirdār tum nayā lenā
maiñ to mele se aa.inā lūñgā
phir na dastak se niiñd TūTegī
aaj darvāza toḌ Dālūñgā
kuchh bhī māñge koī duāoñ meñ
maiñ musāfir huuñ rāstā lūñgā
aag to aag hai jalā.egī
ashk bhī ashk hai bujhā lūñgā
apnī gahrā.ī meñ mukammal huuñ
terī ūñchā.iyoñ se kyā lūñgā
ruuh aur bhī mirī chamak jaa.e
tere zaḳhmoñ ko aise pā lūñgā
sach to ye hai ki sach nahīñ kuchh bhī
sirf afsāne kā mazā lūñgā
tum jo pā jaao rāh-e-ishq 'vijay'
rafta-rafta tumheñ maiñ pā lūñgā