Vijay Sharma

jis bhi jagah dekhi usne apni taswir haTa li thi

Vijay Sharma

Howrah, West Bengal, India

1995
jis bhī jagah dekhī us ne apnī tasvīr haTā lī thī
mere dil kī dīvāroñ par dīmak lagne vaalī thī
ek parinda uḌne kī koshish meñ gir gir jaatā thā
ghar jaanā thā us ko par vo raat bahut hī kaalī thī
āñgan meñ jo diip qatāroñ meñ rakkhe the dhuāñ hue
havā chalī us raat bahut jab mere ghar dīvālī thī
ik muddat par ghar lauTā thā paas jab us ke baiThā maiñ
mujh meñ bhī maujūd nahīñ thī vo ḳhud meñ bhī ḳhālī thī
'arsh' bahāroñ meñ bhī aayā ek nazāra patjhaḌ kā
sabz shajar ke sabz tane par ik sūkhī sī Daalī thī
Top Urdushayar.com