mirī vafā kī mukammal tū dāstāñ kar de
jahāñ pe aag nahīñ hai vahāñ dhuāñ kar de
kahīñ se koī tamannā duā meñ aa na sake
mire ḳhudā tū mire dil ko be-zabāñ kar de
vo jis ke lams se patthar bhī ruuh pā jaa.e
us ek shaḳhs ko mujh par bhī mehrbāñ kar de
bahut sunā hai tere mo.ajazoñ ke baare meñ
mire bhī zaḳhm-e-jigar ko tū kahkashāñ kar de
maiñ apne dil kī har ek baat us se kah dūñgā
sune to suntā rahe vo kahe to haañ kar de
yahāñ pe kuchh na ho bikhrī huī sadā ke sivā
mire vajūd ko ujḌā huā makāñ kar de
maiñ apnī qabr meñ zinda paḌā huā huuñ 'arsh'
alag alag to koī mere jism-o-jāñ kar de