tire ġhurūr mire zabt kā savāl rahā
bikhar bikhar ke tujhe chāhnā kamāl rahā
vahīñ pe Dūbnā ārām se huā mumkin
jahāñ pe mauj-o-safīne meñ e'tidāl rahā
nahīñ ki shaam Dhale tum na lauTte lekin
tumhārī raah meñ sūraj hī lā-zavāl rahā
phir apnā haath kaleje pe rakh liyā ham ne
phir us ke paañv kī aahaT kā ehtimāl rahā