Ghulam Husain Sajid

KHuda-e-bartar ne aasman ko zamin par mehrban kiya hai

Ghulam Husain Sajid

1951
ḳhudā-e-bartar ne āsmāñ ko zamīn par mehrbāñ kiyā hai
magar mire ḳhvāb ke nagar ko charāġh ne ḳhush-gumāñ kiyā hai
suno ki maiñ ne dharī hai sat.h-e-ravāñ pe ik Doltī imārat
aur ek sham-e-tarab ko shahr-e-malāl kā pāsbāñ kiyā hai
mujhe yaqīñ hai ye sub.h-e-nau bhī mire sitāre kā saath degī
ki maiñ ne ik ism kī madad se ġhubār ko āsmāñ kiyā hai
ye sach hai merī sadā ne raushan kiye haiñ mehrāb par sitāre
magar mirī be-qarār āñkhoñ ne aa.ine kā ziyāñ kiyā hai
nigāh-e-nam-nāk ko lahū ne kiyā hai majbūr dekhne par
aur ek rabt-e-ḳhafī ko rasm-e-muġhāirat ne javāñ kiyā hai
kahīñ nahīñ hai masāfat-e-umr meñ kisī ḳhvāb kā paḌāv
so maiñ ne is be-kanār sahrā pe abr kā sā.ebāñ kiyā hai
sitār-e-ḳhvāb se bhī baḌh kar ye kaun be-mehr hai ki jis ne
charāġh aur aa.ine ko apne vajūd kā rāz-dāñ kiyā hai
Top Urdushayar.com