Ghulam Husain Sajid

zamin meri rahegi na aaina mera

Ghulam Husain Sajid

1951
zamīn merī rahegī na aa.ina merā
ki āzmāne chalā hai mujhe ḳhudā merā
mire tilism se āzād bhī nahīñ lekin
vo phuul pahlī nazar meñ huā na thā merā
na.iim basra-o-baġhdād hārne ke ba.ad
mirā vajūd bhī shāyad nahīñ rahā merā
vo mere paas rahe yā kahīñ chalā jaa.e
rahegā us ke ḳhayāloñ se silsila merā
kisī kī khoj meñ niklā thā be-irāda maiñ
badan niDhāl thā sar ghūmtā huā merā
nahīñ hai ab mujhe anjām kī koī parvā
baḌhā diyā hai mohabbat ne hausla merā
huā hai qat.a masāfat kā silsila jaarī
maiñ ruk gayā to badan TūTne lagā merā
yaqīñ nahīñ hai magar naqsh hai mire dil par
ki ik parī ne banāyā hai zā.icha merā
vo baar baar palaTtā hai duur jā-jā kar
so TuuT TuuT ke juḌtā hai rābta merā
nazar kī had pe jo ik najm-e-ḳhvāb hai 'sājid'
vahī charāġh hai us kā vahī diyā merā
Top Urdushayar.com