Ghulam Husain Sajid

kabhi makan ki taraf hai kabhi makin ki taraf

Ghulam Husain Sajid

1951
kabhī makāñ kī taraf hai kabhī makīñ kī taraf
kisī kā ruḳh hai azal se mirī zamīñ kī taraf
charāġh-e-lāla hai raushan na surḳh rū-e-hinā
fazā-e-sehn-e-gulistāñ hai yāsmīñ kī taraf
mire badan ne bhī is faisle pe saad kiyā
ki dāġh-e-sajda rahegā faqat jabīñ kī taraf
tuyūr-e-ḳhvāb hoñ ā.īne hoñ sitāre hoñ
ravāñ-davāñ haiñ sabhī arsh-e-nīlamīñ kī taraf
huā hai koī agar faisla mire haq meñ
kabhī maiñ haañ kī taraf thā kabhī nahīñ kī taraf
badal na pā.ūñgā maiñ āsmāñ badalne se
mirā jhukāv rahegā usī hasīñ kī taraf
dayār-e-dil kā añdherā agar chhaTā 'sājid'
to dhyān jā.egā us sham-e-avvalīñ kī taraf
Top Urdushayar.com