Ghulam Husain Sajid

lahu ki aag agar jalti rahegi

Ghulam Husain Sajid

1951
lahū kī aag agar jaltī rahegī
hamārī daal bhī galtī rahegī
bharosā hai agar duniyā ko ham par
hamāre rañg meñ Dhaltī rahegī
mohabbat hai agar sachchī hamārī
matā-e-ḳhvāb par paltī rahegī
chaman ab der tak raqsāñ rahegā
havā ab der tak chaltī rahegī
kahāñ aa.egī apne vaqt par maut
vo agle roz par Taltī rahegī
jahāñ meñ surḳh-rū ho kar bhī 'sājid'
vo hāthoñ ko yūñhī maltī rahegī
Top Urdushayar.com