mumkin jahāñ nahīñ thī vahāñ kaaT dī ga.ī
kuchh din kī zindagī thī miyāñ kaaT dī ga.ī
muflis jo the vo pyaas kī shiddat se mar ga.e
mahloñ kī samt jū-e-ravāñ kaaT dī ga.ī
maiñ ne buland kī thī sadā ehtijāj kī
phir yuuñ huā ki merī zabāñ kaaT dī ga.ī
terī zamīñ pe saañs bhī lenā muhāl thā
majbūr ho ke ziist yahāñ kaaT dī ga.ī
merī sazā-e-maut pe ik jashn thā bapā
vo shor thā ki merī fuġhāñ kaaT dī ga.ī
dast-e-hunar pe nok-e-sināñ par ġhurūr hai
lekin jarī jo nok-e-sināñ kaaT dī ga.ī
pahle to baat baat pe Tokā gayā mujhe
phir tañg aa ke merī inaañ kaaT dī ga.ī
'nāsir' hai rāh-e-shauq meñ 'momin' kā mo'taqid
umr-e-ravāñ dar ishq-e-butāñ kaaT dī ga.ī