maiñ apne sūraj ke saath zinda rahūñgā to ye ḳhabar milegī
gulāb kis shāḳh par khilegā charāġh kī lau kahāñ rukegī
maiñ zīna-e-ḳhvāb se utar kar sahar talak aa to jā.ūñ lekin
ye shaam mujh par ayaañ na hogī ye shab mujhe rāsta na degī
jo rañg mujh meñ sañvar rahe the vo shaam hote hī kho ga.e haiñ
jo sham.a mere vajūd meñ jal rahī hai kis sub.h tak jalegī
sahar huī to mirī thakan se niDhāl āñkhoñ ke thāmne ko
ye nuur kis samt meñ Dhalegā ye chhāñv kis or se baḌhegī
maiñ ik nizām-e-kohan ke narġhe meñ saañs le kar bhī sochtā huuñ
ki sub.h kaise tulūa hogī ki shaam kis rañg meñ Dhalegī
maiñ apne ham-rāh ek duniyā ko le ke jab chal paḌūñgā 'sājid'
zamīn paanī ke narm dhāre pe kyā yūñhī ghūmtī rahegī