Ghulam Husain Sajid

dayar-e-KHwab ko niklunga sar uTha kar main

Ghulam Husain Sajid

1951
dayār-e-ḳhvāb ko niklūñgā sar uThā kar maiñ
ki shaad rahtā huuñ ranj-e-safar uThā kar maiñ
charāġh jal na sakegā jo us kī āñkhoñ meñ
dharūñgā us ko kisī taaq par uThā kar maiñ
sunā hai taḳht muqaddar se haath aatā hai
ḳhajil huuñ rāhat-e-teġh-o-sipar uThā kar maiñ
chale jo sarv-o-saman meñ bhī saath chal dūñgā
khaḌā rahūñgā na bār-e-samar uThā kar maiñ
tire bahisht meñ dil lag nahīñ rahā merā
ki saath lā nahīñ paayā huuñ ghar uThā kar maiñ
ulajh rahā ho agar ġhair kī nigāhoñ se
lapeT letā huuñ tār-e-nazar uThā kar maiñ
alag nahīñ huuñ maiñ apnī tarah ke logoñ se
paḌā huuñ zahmat-e-dīvār-o-dar uThā kar maiñ
nahīñ sunūñgā nasīhat kisī siyāne kī
rahūñgā tohmat-e-nau-e-bashar uThā kar maiñ
yaqīn kaise nahīñ aa.egā unheñ mujh par
vafā meñ fard huuñ ḳhauf-o-ḳhatar uThā kar maiñ
kahīñ visāl kī sūrat agar dikhā.ī dī
nikal paḌūñgā na sham-e-sahar uThā kar maiñ
kisī parī ke tasavvur meñ chuum letā huuñ
kisī gulāb ko bār-e-digar uThā kar maiñ
bahut haiñ chāhne vaale mire jahāñ-bhar meñ
girafta dil nahīñ bār-e-hunar uThā kar maiñ
makān chhoḌ to duuñ us hasīñ ke kahne par
galī meñ lā.ūñgā kyā kyā magar uThā kar maiñ
mujhe vo taish dilāte rahe agar 'sājid'
to gūñdh dūñgā ye saarā nagar uThā kar maiñ
Top Urdushayar.com