ufuq se aag utar aa.ī hai mire ghar bhī
shikast hote haiñ kyā shahar apne andar bhī
ye āb-o-tāb isī marhale pe ḳhatm nahīñ
koī charāġh hai is aa.ine se bāhar bhī
ḳhamīr jis ne uThāyā hai ḳhaak se merā
usī ne ḳhvāb se khīñchā hai merā jauhar bhī
maiñ DhūñD lūñgā koī rāsta palaTne kā
jo band hogā kabhī mujh pe aap kā dar bhī
kisī ke aks-e-munavvar kī chhūT se hai dañg
to mere dam se hai ye ā.īna mukaddar bhī
ye saill-e-shab hī nahīñ mere vāste jaarī
ravāñ hai mere liye sub.h kā samundar bhī
dahakne vaale faqat phuul hī na the 'sājid'
khile hue the inhī kyāriyoñ meñ aḳhgar bhī