Ghulam Husain Sajid

hasil kisi se naqd-e-himayat na kar saka

Ghulam Husain Sajid

1951
hāsil kisī se naqd-e-himāyat na kar sakā
maiñ apnī saltanat pe hukūmat na kar sakā
har rañg meñ raqīb-e-zar-e-nām-o-nañg huuñ
maiñ vo huuñ jo kisī se mohabbat na kar sakā
ghultā rahā hai merī ragoñ meñ bhī koī zahr
lekin maiñ is dayār se hijrat na kar sakā
paḌtā nahīñ kisī ke bichhaḌne se koī farq
maiñ us ko sach batāne kī zahmat na kar sakā
aayā jo us kā zikr to maiñ guñg rah gayā
aur aa.ine se us kī shikāyat na kar sakā
baaqī rakhī hai mere lahū ne matā-e-hosh
maiñ ne vafā to kī thī nihāyat na kar sakā
ab bhī shagufta nuur se hai us ko rabt-e-ḳhās
vo jo mire charāġh kī izzat na kar sakā
har-chand us gulāb pe tashbīb khul ga.ī
is par bhī maiñ gurez kī himmat na kar sakā
'sājid' qafas kī tīliyoñ ko toḌ kar bhī maiñ
is dasht-e-be-kanār meñ vahshat na kar sakā
Top Urdushayar.com