Ghulam Husain Sajid

mata-e-barg-o-samar wahi hai shabahat-e-rang-o-bu wahi hai

Ghulam Husain Sajid

1951
matā-e-barg-o-samar vahī hai shabāhat-e-rañg-o-bū vahī hai
khulā ki is baar bhī chaman par giraft-e-dast-e-numū vahī hai
hikāyat-e-ishq se bhī dil kā ilaaj mumkin nahīñ ki ab bhī
firāq kī talḳhiyāñ vahī haiñ visāl kī aarzū vahī hai
badal diye haiñ kisī ne afsūñ se kaam le kar tamām mohre
ki sehar-e-imroz ke muqābil na maiñ vahī huuñ na tū vahī hai
zamīñ pe bahtī huī ye āñkheñ falak pe rukte hue ye taare
sunā hai ye phuul haiñ usī ke sunā hai ye aabjū vahī hai
mah o sitāra to aa.ine ke vajūd se munharif hue haiñ
magar tirī chashm-e-mehrbāñ ko charāġh se guftugū vahī hai
ulajh rahā hai koī sitāra tilism-e-istaḳhr-o-nainvā se
ki rabb-e-''ra.a'' ke muqāble meñ huā hai jo surḳh-rū vahī hai
bahut girāñ hai mire shab-o-roz par ye rañg-e-visāl 'sājid'
magar vahī be-kalī hai dil kī dimāġh ko justujū vahī hai
Top Urdushayar.com