hamāre saath ḳhudā ho ki ham ḳhudā ke saath
magar rahe yahī vābastagī duā ke saath
kashīd karte hue rāhat-e-vajūd-o-adam
diye ke saath rahūñgā na maiñ havā ke saath
na.e gulāb kareñge mukālima kis se
nikal paḌūñgā chaman se agar sabā ke saath
chhalak na jaa.e kahīñ sāġhar-e-matā-e-hosh
rahūñgā aaj kisī dard-āshnā ke saath
fishār-e-zabt se rukne lagī hai saañs mirī
muqābla hai kisī sabr-āzmā ke saath
pasand haiñ mujhe multān ke dar-o-dīvār
nigār-ḳhāna-e-istaḳhar-o-nainvā ke saath
usī charāġh se nisbat rakhūñ abhī 'sājid'
ki dil lagā.ūñ kisī aur dil-rubā ke saath