charāġh kī oT meñ hai mehrāb par sitāra
rukā huā hai abhī gul-e-ḳhvāb par sitāra
ye kis ravānī meñ Dūbtī jā rahī haiñ āñkheñ
chamak rahā hai ye kyuuñ ruḳh-e-āb par sitāra
rukī huī hai zamīn paanī ke mintaqe par
Thahar gayā hai nigāh-e-betāb par sitāra
kahīñ mirī dhuup kī hukūmat hai aa.ine par
jhukā huā hai kahīñ zar-e-āb par sitāra
muhīt meñ ghūmte raheñge agar safīne
siyāh paḌne lagegā girdāb par sitāra
sunā thā is raat ke muqābil bhī ā.īna hai
magar dikhā.ī diyā hai mahtāb par sitāra
maiñ huuñ kisī raat kī siyāhī kā rizq lekin
talāsh kartā huuñ rū-e-ahbāb par sitāra