Ghulam Husain Sajid

dast-e-rahat ne kabhi ranj-e-giran-bari ne

Ghulam Husain Sajid

1951
dast-e-rāhat ne kabhī rañj-e-girāñ-bārī ne
kar diyā ḳhatm mujhe ishq kī bīmārī ne
raas aa.ī hai na aa.egī ye duniyā lekin
rok rakkhā hai mujhe kuuch kī tayyārī ne
harf us paikar-e-gul par na thā aane vaalā
us ko sharminda kiyā rasm-e-dil-āzārī ne
yūñhī ḳhushbū se mo.attar nahīñ sāñseñ merī
zulf lahrā.ī hai āñgan meñ kisī pyārī ne
haath kyā aa.egā ab jañg ko jaarī rakh kar
faisla kar bhī diyā shah kī giraftārī ne
qarya-e-ḳhāk se nisbat kī thī ḳhvāhish kis ko
mujh ko zanjīr kiyā us kī taraf-dārī ne
ḳhush nahīñ aayā mujhe bāġh-e-adan bhī 'sājid'
maar Daalā hai mujhe phir mirī hushyārī ne
Top Urdushayar.com