Ghulam Husain Sajid

meri wirasat mein jo bhi kuchh hai wo sab isi dahr ke liye hai

Ghulam Husain Sajid

1951
mirī virāsat meñ jo bhī kuchh hai vo sab isī dahr ke liye hai
ye rañg ik ḳhvāb ke liye hai ye aag ik shahr ke liye hai
agar isī raat kī siyāhī ke saath kho jā.eñge sitāre
to phir ye mere lahū kā raushan charāġh kis lahr ke liye hai
tulū-e-imkān-e-ārzū par yaqīn rakhtī hai ek duniyā
magar ye be-kār ḳhvāhishoñ kī numūd ik zahr ke liye hai
kanār-e-dariyā hai ek maddham ġhubār kis dasht kā paḌāv
darūn-e-sahrā ye āb-e-haivāñ kā naqsh kis nahr ke liye hai
ye ḳhvāb hote hue sahīfoñ ke phuul mere liye haiñ lekin
zamīn-e-dil par ye āyatoñ kā nuzūl ik dahr ke liye hai
bas ek insān kī ḳhushī hai kisī haqīqat kī rū-numā.ī
magar kisī ḳhvāb ke ziyāñ kā malāl ik shahr ke liye hai
agar hai insān kā muqaddar ḳhud apnī miTTī kā rizq honā
to phir zamīñ par ye āsmāñ kā vajūd kis qahr ke liye hai
Top Urdushayar.com