ridā-e-rāhat-e-kaun-o-makān oḌh ke dekh
zamīn oḌh ke dekh āsmān oḌh ke dekh
tilism TuuT chukā jab charāġh-e-zulmat kā
kabhī sabāhat-e-nām-o-nishān oḌh ke dekh
paḌā rahegā kahāñ tak tū apne tarkash meñ
ḳhadañg-e-jasta agar hai kamān oḌh ke dekh
qarīb aa hī gayā hai agar vo abr-e-karam
safar meñ aaj yahī sā.ebān oḌh ke dekh
havā-e-shahr haqīqat meñ saañs lete hue
nigār-ḳhāna-e-vahm-o-gumān oḌh ke dekh
phir ek baar kisī jañg par nikalte hue
fazā-e-qarya-e-amn-o-amān oḌh ke dekh
nayā libās pahanñe kā vaqt hai 'sājid'
shikoh oḌh ke dekh ān-bān oḌh ke dekh