nahīñ ab rok pā.egī fasīl-e-shahr paanī ko
bahā.e jā rahī hai raushnī kī lahr paanī ko
mujhe bhī surḳh kartī hai ye mash.al merī āñkhoñ kī
ki jaise sabz kartā hai ziyā kā zahr paanī ko
kisī be-nām sayyāre pe ab bhī abr chhāyā hai
tarastā hai ka.ī din se agarche dahr paanī ko
bahut itrā rahī hai mauj-e-sahrā apne hone par
ravāñ rakhtī ho jaise aaj bhī ye nahr paanī ko
nikalnā chāhtā hai qaid se jaise mashiyyat kī
pasand aayā nahīñ hai āsmānī qahr paanī ko
use vo raakh karne ke liye tayyār hai 'sājid'
muqayyad hī na rakkhegā faqat ye shahr paanī ko