Ghulam Husain Sajid

ishq ki dastaras mein kuchh bhi nahin

Ghulam Husain Sajid

1951
ishq kī dastaras meñ kuchh bhī nahīñ
jān-e-man! mere bas meñ kuchh bhī nahīñ
ik tirī yaad kā tasalsul hai
aur tār-e-nafas meñ kuchh bhī nahīñ
rāzdār-e-bahār-e-rafta na ho
yuuñ to is ḳhār-o-ḳhas meñ kuchh bhī nahīñ
parvarish pā rahā hai naḳhl-e-ziyāñ
naf.a kyā is baras meñ kuchh bhī nahīñ
āḳhir-e-kār hārne ke sivā
iḳhtiyār-e-havas meñ kuchh bhī nahīñ
ishq par iḳhtiyār hai kis kā
fā.eda pesh-o-pas meñ kuchh bhī nahīñ
kis liye chal paḌā huuñ meñ 'sājid'
jab sadā-e-jaras meñ kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com