Ghulam Husain Sajid

main us pari ka agar muddaa nahin samjha

Ghulam Husain Sajid

1951
maiñ us parī kā agar mudda.ā nahīñ samjhā
samajh meñ kyā nahīñ aayā maiñ kyā nahīñ samjhā
yahī bahut hai ki is baar bhī maiñ dushman ko
burā samajhte hue bhī burā nahīñ samjhā
vo māntā hai mire iḳhtilāf ke haq ko
use biThāyā hai sar par ḳhudā nahīñ samjhā
charāġh-o-ā.ina hairān kyuuñ nahīñ hoñge
ki maiñ sabāhat-e-gul kī adā nahīñ samjhā
kisī bikharte hue ḳhvāb ke ta.āqub meñ
nikal paḌā huuñ magar rāsta nahīñ samjhā
bahut se rañj sahe apnī jaan par lekin
tire vajūd ko ḳhud se judā nahīñ samjhā
hazār maiñ ne har ik chiiz kī vazāhat kī
magar vo shaḳhs mirā mas.ala nahīñ samjhā
usī ne aag lagā.ī thī mere hāthoñ ko
jise maiñ bhuul se barg-e-hinā nahīñ samjhā
kisī kī uḌtī huī niiñd kī haqīqat ko
nagar meñ koī bhī mere sivā nahīñ samjhā
khaḌā huā thā kahīñ bām-e-arsh par 'sājid'
magar zamīn ko tahtus-surā nahīñ samjhā
Top Urdushayar.com