Ghulam Husain Sajid

kisi ko zahr dunga aur kisi ko jam dunga

Ghulam Husain Sajid

1951
kisī ko zahr dūñgā aur kisī ko jaam dūñgā
maiñ apne jāñ-nisāroñ ko yahī in.aam dūñgā
añdhere meñ damak uThte haiñ jitne bhī sitāre
agar fursat milī to maiñ unheñ kuchh naam dūñgā
kisī tārīk miTTī par mujhe bhī saath rakhnā
ki maiñ tujh ko kisī mushkil ghaḌī meñ kaam dūñgā
thakā-hārā huuñ tanhā huuñ magar ye baat tai hai
maiñ tohfe meñ tujhe ik roz mulk-e-shām dūñgā
dukān-e-aslaha se maiñ ne jo shamshīr lī hai
maiñ us ke daam pūchhūñgā na us ke.... daam dūñgā
mujhe har roz kahtā hai ye baat ab merā beTā
tujhe maiñ is buḌhāpe meñ bahut ārām dūñgā
Top Urdushayar.com