zamīñ kā rañg vahī āsmāñ kā rañg vahī
vahī sabāhat-e-gul hai binā-e-sañg vahī
jo ḳhvāb ban nahīñ paayā thā merī āñkhoñ kā
Thahar gayā hai mire aa.ine pe zañg vahī
badan meñ aag lagāte hue duā ke haath
lahū meñ phuul khilātī huī umañg vahī
badalne vaalā hī ḳhud ko badal nahīñ paayā
vahī bahāne haiñ us ke haiñ uzr-e-lañg vahī
hazār sulh kā parcham buland kar dekho
magar zamīñ pe musallat rahegī jañg vahī
purānī vaz.a se aayā huuñ tere kūche meñ
badan maiñ zor vahī ruuh meñ tarañg vahī
kuchh aise Dhañg se tabdīl ho rahā hai vo
ki rah na jaa.e kisī marhale pe dañg vahī
vahī nagar vahī galiyāñ vahī makīñ 'sājid'
paḌī hai paañv meñ zanjīr-e-nām-o-nañg vahī