charāġh baaqī rahā na ab aa.ina rahegā
magar shaguft-e-jamāl kā silsila rahegā
hazār chaukas rahīñ kaḌī tīrgī ke daa.ī
mire tasavvur meñ ek rauzan khulā rahegā
yaqīn aayā hai aaj alvāh-e-sa.ang paḌh kar
ki is nagar meñ bas ek nām-e-ḳhudā rahegā
yahī rahegā agar mirī be-kasī kā aalam
duā.eñ bach pā.eñgī na dast-e-duā rahegā
siyāh paḌne lagegī sham-e-visāl kī zau
khilā huā rāt-bhar jo rañg-e-hinā rahegā
mirī tarah niiñd aa nahīñ pā.egī use bhī
maiñ jāntā huuñ vo sub.h tak jāgtā rahegā
kahāñ miTāne se miT sakegā vo naqsh dil se
ġhubār sā aa.ine pe ik aks kā rahegā
ḳhayāl rahtā hai niiñd meñ ab usī parī kā
jo phuul ab shāḳh par khilegā khilā rahegā
safar ho pātāl kā ki sair-e-falak ho 'sājid'
jahāñ rahūñgā zamīn se rābta rahegā