Ghulam Husain Sajid

sawad-e-shahr se aghmaz karna chahta hun

Ghulam Husain Sajid

1951
savād-e-shahr se aġhmāz karnā chāhtā huuñ
ki maiñ apnā safar āġhāz karnā chāhtā huuñ
ḳhajil hūñgā matā-e-ishq par shāyad kisī din
abhī is faisle par naaz karnā chāhtā huuñ
rag-e-jāñ se bhī jo nazdīk aatā jā rahā hai
maiñ kyā sach-much use hamrāz karnā chāhtā huuñ
ulaTnā chāhtā huuñ aaj maazī ke varaq maiñ
ki fardā kā darīcha baaz karnā chāhtā huuñ
kisī ke sāmne rakkhe hue ik aa.ine ko
maiñ apnī ruuh kā ġhammāz karnā chāhtā huuñ
parindoñ ko zarā sī der chup rahne kā kah kar
havā ko zamzama-pardāz karnā chāhtā huuñ
manānā chāhtā huuñ rūThne vāloñ ko 'sājid'
magar ik shaḳhs ko nārāz karnā chāhtā huuñ
Top Urdushayar.com