ik sham.a kī sūrat meñ manzūr kiyā jā.ūñ
ik ghar kī hifāzat par māmūr kiyā jā.ūñ
apne se bichhaḌne kī kuchh fikr nahīñ lekin
aisā na ho us se bhī ab duur kiyā jā.ūñ
ik yaad se mas ho kar zanjīr pighal jaa.e
ik gul kī mohabbat se maḳhmūr kiyā jā.ūñ
aisā na ho duniyā kī vus.at se nikalte hī
apne meñ simaTne par majbūr kiyā jā.ūñ
ai raat agar maiñ bhī ik terā sitāra huuñ
sūraj ke nikalte hī be-nūr kiyā jā.ūñ
aisā ho ki ik lamha merī bhī gavāhī de
aisā ho ki ik dil kā dastūr kiyā jā.ūñ