koī jab chhīn letā hai matā-e-sabr miTTī se
to apne aap ug aatī hai us kī qabr miTTī se
sajā rakhā thā ma.abad ke kisī tārīk goshe meñ
banā kar ek dast-e-mehrbāñ ne abr miTTī se
kahāñ jī shaad rahtā hai faqat kār-e-mohabbat meñ
ki virse meñ milā hai aadmī ko jabr miTTī se
maiñ is kuuze ke paanī se koī shamshīr Dhālūñgā
aur us ko ā.īne se aab dūñgā sabr miTTī se
vo kis duniyā se aa.e haiñ vo kis duniyā ke baasī haiñ
banāte haiñ jo gahre pāniyoñ meñ qabr miTTī se
isī duniyā meñ baste haiñ ajab kuchh log aise bhī
jo pal meñ khīñch sakte haiñ ridā-e-jabr miTTī se
maiñ agle jashn meñ chūmūñgā un be-dāġh hāthoñ ko
ki jin hāthoñ ne Dhālā hai charāġh-e-abr miTTī se