Ghulam Husain Sajid

charagh-e-KHana-e-dil ko supurd-e-baad kar dun

Ghulam Husain Sajid

1951
charāġh-e-ḳhāna-e-dil ko supurd-e-bād kar duuñ
ye qaidī bhī kisī ke naam par āzād kar duuñ
bahut ham se gurezāñ ye zamīn o āsmāñ haiñ
ijāzat ho to ik duniyā na.ī ābād kar duuñ
jidhar niklūñ savād-e-hijr hī kā sāmnā hai
koī sūrat yahāñ bhī vasl kī ījād kar duuñ
mire māyūs rahne par agar vo shādmāñ hai
to kyuuñ ḳhud ko maiñ us ke vāste barbād kar duuñ
bahut chehre nigāhoñ meñ ubharte Dūbte haiñ
agar kuchh der ko raushan charāġh-e-yād kar duuñ
bahut din se musir is baat par vo mehrbāñ hai
ki maiñ dil ko rahīn-e-sohbat-e-nā-shād kar duuñ
Top Urdushayar.com