Ghulam Husain Sajid

Thaharne ko hai basti ke dar-o-diwar par pani

Ghulam Husain Sajid

1951
Thaharne ko hai bastī ke dar-o-dīvār par paanī
ki ab patthar meñ Dhaltī jā rahī hai mauj-e-hairānī
ḳhayāl aatā hai shahr-e-ārzū ko chhoḌ dene kā
bahut dushvār ho jaatī hai jab bhī koī āsānī
yaqīñ aayā ki arzāñ hai matā-e-lutf duniyā meñ
natīja hai adū kī qadr karne kā pashemānī
musalsal baḌh rahā huuñ jāda-e-islām par ab tak
magar ḳhush aa.egā kis ko mirā turr-e-musalmānī
vahī sūrat vahī atvār-e-nek-o-bad vahī lahja
vo pal-bhar meñ kahīñ se DhūñD laayā hai mirā saanī
mire sheroñ meñ bahtā hai samundar mere virse kā
ki maiñ gulshan-tarāz-e-rañg-e-sohbāñ huuñ na ḳhāqānī
judā.ī kī kasak miT jā.egī 'sājid' mire dil se
agar pahchān le baḌh kar mujhe vo dilbar-e-jānī
Top Urdushayar.com