Ghulam Husain Sajid

samajhte hain jo apne bap ki jagir miTTi ko

Ghulam Husain Sajid

1951
samajhte haiñ jo apne baap kī jāgīr miTTī ko
banā.ūñgā maiñ un ke paañv kī zanjīr miTTī ko
havā sat.h-e-zamīñ par ab ḳhat-e-gulzār khīñchegī
ki ḳhush aatī nahīñ hai abr kī tahrīr miTTī ko
siyah paḌ jā.egī zarroñ kī rañgat ek hī pal meñ
agar qismat se mil jaa.e mirī taqdīr miTTī ko
jalālī aa.ina ik āsmāñ par mehr-e-tābāñ hai
banāyā hai zamīñ par sabr kī tasvīr miTTī ko
bajā.e ḳhaak uḌte haiñ sitāre merī āñkhoñ meñ
ki ho jaatī hai aise kaam meñ tāḳhīr miTTī ko
use mismār karne meñ koī mushkil nahīñ hogī
pasand aa.ī hai shahr-e-ḳhvāb kī ta.amīr miTTī ko
bahut rauñdā gayā hai ḳhaak ko aur ḳhāk-zādoñ ko
atā kī jā.egī ab ġhaib se tauqīr miTTī ko
kamāl apnā dikhā.egā tilismī aa.ina 'sājid'
ki ab darkār hai ik ḳhvāb kī ta.abīr miTTī ko
Top Urdushayar.com