Ghulam Husain Sajid

subh tak jin se bahut bezar ho jata hun main

Ghulam Husain Sajid

1951
sub.h tak jin se bahut bezār ho jaatā huuñ maiñ
raat hote hī unhī galiyoñ meñ kho jaatā huuñ maiñ
ḳhvāb meñ gum huuñ ki bāhar kī fazā achchhī nahīñ
aañkh khulte hī kahīñ zanjīr ho jaatā huuñ maiñ
khīñch laatī hai usī kūche meñ phir āvārgī
roz jis kūche se apne shahr ko jaatā huuñ maiñ
is añdhere meñ charāġh-e-ḳhvāb kī ḳhvāhish nahīñ
ye bhī kyā kam hai ki thoḌī der so jaatā huuñ maiñ
raat laatī hai kisī ke qurb kī ḳhvāhish magar
sub.h hote hī kisī se duur ho jaatā huuñ maiñ
jī meñ aatā hai ki duniyā ko badalnā chāhiye
aur apne aap se māyūs ho jaatā huuñ maiñ
baare bāġh-e-sehn-e-duniyā meñ bahut din rah liyā
ḳhush raho ab is galī se dosto jaatā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com