ek ghar apne liye tayyār karnā hai mujhe
aur ik bastī ko bhī mismār karnā hai mujhe
is andhere meñ chhupānā hai koī dushman magar
is ujāle meñ kisī par vaar karnā hai mujhe
ek naddī ke kināre par Thaharne ke liye
shaam hone tak ye dariyā paar karnā hai mujhe
DhūñD laayā huuñ ḳhushī kī chhāñv jis ke vāste
ek ġham se bhī use do-chār karnā hai mujhe
bhāñdhnī hai āḳhirī ik chaal se saarī bisāt
aur us kā daav bhī be-kār karnā hai mujhe
kis samundar meñ utarnā hai paḌāv ke liye
kis nagar ko ab gale kā haar karnā hai mujhe
ek ḳhvāhish hai jo shāyad umr bhar puurī na ho
ek sapne se hamesha pyaar karnā hai mujhe
ek jhoñke ko ravāñ rakhnā hai sehn-e-bāġh meñ
ek gul ko shāmil-e-guftār karnā hai mujhe
ek an-jānī sadā kī khoj meñ chalte hue
ek mub.ham rabt ko dīvār karnā hai mujhe