sisak rahī haiñ thakī havā.eñ lipaT ke ūñche sanobaroñ se
lahū kī mahkār aa rahī hai kaTe hue shaam ke paroñ se
ajab nahīñ ḳhaak kī udāsī bharī nigāhoñ kā izn pā kar
palaT paḌeñ ek din ravāñ pāniyoñ ke dhāre samundaroñ se
vo kaun thā jo kahīñ bahut duur ke nagar se pukārtā thā
vo kyā sadā thī ki aisī ujlat meñ log ruḳhsat hue gharoñ se
badan meñ phir saañs le rahā hai alaav andhī masāfatoñ kā
nigāh mānūs ho rahī thī abhī paḌāv ke manzaroñ se
maiñ huuñ magar aaj us galī ke sabhī darīche khule hue haiñ
ki ab maiñ āzād ho chukā huuñ tamām ā.ankhoñ ke dā.eroñ se
qalam ke e.ajāz se kisī par unheñ maiñ kyā iḳhtiyār dūñgā
vo jin kī tanzīm ho sakī thī na un ke apne payambaroñ se
jo ho sake to vajūd hī kī kharī adālat se faisla lo
fuzūl hai jurm ke natīje meñ dād-ḳhvāhī sitamgaroñ se