Ghulam Husain Sajid

ruka hun kis ke wahm mein mere guman mein nahin

Ghulam Husain Sajid

1951
rukā huuñ kis ke vahm meñ mire gumān meñ nahīñ
charāġh jal rahā hai aur koī makān meñ nahīñ
vo tā.ir-e-nigāh bhī safar meñ saath hai mire
ki jis kā zikr tak abhī kisī uḌaan meñ nahīñ
mirī talab mire liye malāl chhoḌ kar ga.ī
jo shai mujhe pasand hai vahī dukān meñ nahīñ
koī ajiib ḳhvāb thā agar maiñ yaad kar sukūñ
koī ajiib baat thī magar vo dhyān meñ nahīñ
vo dushmanī kī shaan se mile to dil meñ rah ga.e
magar ye baat dostī kī ān-bān meñ nahīñ
maiñ rizq-e-ḳhvāb ho ke bhī usī ḳhayāl meñ rahā
vo kaun hai jo zindagī ke imtihān meñ nahīñ
vo ḳhvāb shām-e-hijr meñ sahar kī aas thā mujhe
magar vo tere vasl kī khulī amaan meñ nahīñ
Top Urdushayar.com